Rig Veda hymn dedicated to the act of creation. Also "Bharat Ek Khoj" theme.
Story behind the song
Rig Veda 10.129.1
nasadsin no sadasit tadanim nasid rajo no vyomaparo yat |
kimavarivah kuha kasya sarmannambhah kimasid ghahanam ghabhiram ||
Lyrics
Srishti se pehle sat nahin thaa, asat bhi nahin
Antariksh bhi nahin, aakaash bhee nahin thaa.
Chhipaa thaa kyaa, kahaan, kisne dhaka thaa?
Us pal to agam, atal jal bhi kahaan thaa.
Srishti kaa kaun hai kartaa?
Kartaa hai va akartaa
Oonche aakash mein rahtaa.
Sadaaa addhyaksh banaa rahtaa.
Wohee sach much mein jaantaa..Yaa nahin bhi jaanataa
Hain kisi ko nahin pataa,
Nahin pataa,
Nahin hai pataa, nahin hai pataa.