Tootay hain khawab meray
Hain ankhon mein ansoon
Is tootay dil mein
Jhanklay zara tu
Kehti hai yeh zameen
Karlo meri hifazat
Ke hai tu jawan abhi bhi
Aub bhi waqt hai
Kahan hai tera zameer
Kya tu insaan nahee
Jagaa apnay dil ko
Kya tu insaan nahee
Kya horaha hai yeh
Insaan Insaan ko kah raha hai
Thorisee jeet ke liye
Hazaron ko maar raha hai
Thaam lo tum haath
Khalo kasam
Na marnay daingay hum
Jis nay diya hai saath
Aub mangay humara saath