Dharm ki sangya adeenata ashakta dharmik vinaash
Jeevan mein kya mukti? paristhiti hai laash
Dharm ke kaaran prachandata anudaarata agyaan
Agyani kya paadha rahe hai atmabodh vigyan?
Duryodhan ke vanshaj woh prakruti jinki neech
Netraheen marg darshak, kathor vipareet adhikaar
Ye kaise sankat mein hai hum vimarsh kar hey eshwar
Aise kis devata ki upasana kare hum bali de kar?
Kaun hai woh jo astitvaman antariksh dharan kar?
Kalyug mein hai vaastavik, vyakul mat prachaar
Dharmikta ka antaradheen karte hai jo nishthur
Karte hai wo sarvanaash, yathartata talwar
Aakraman karte hai kintu parajay hai nischit
Aarakshit woh nishkapt kyu veergati ko prapt?
Dharti par tum kya vimarsh kar aaye the hey eshwar
Aise kis devata ki upasana kare hum bali de kar?