chehra mera tha nigaahein uski
Khaamoshi mein bhi woh baatein uski
mere chehre pe ghazal likhti gayin
sher kahti hoowi aankhein uski
aise mausam bhi guzaare hamnein
subahein jab apani thi shaamein uski
neend is soch se tooti aksar
kis tarah kat thi hain raatein uski
shokh lamhon ka pata dene lagayein
tez hoti hoowii saansein uski