Surge
Loneliness, Raat, Dreams, Visions, Need ..
Waisay hee jeena aasaan nahin tha
Laga dee jaana tu nay aag
Diya tu nay, jo nahin tha paas
Jaga dee hai sadyon ki soyee pyaas
Jaagun mein saari, saari raat
Jaagun mein saari, saari raat
Mujhay kabhi koi armaan nahin tha
Maangun ab tujh ko, kyun har saans
Roag laga hai, na choray saath
Ulajhti jaey kainat
Jaagun mein saari, saari raat
Jaagun mein saari, saari raat
Thehray wo paani jo ravaan thay
Baadal bhi theyray jo jehan thay
Pucha mujh say bata day ye raaz
Raat kyun karti hai sochon ka aghaaz
Jaagun mein saari, saari raat
Jaagun mein saari, saari raat!