Performed live on IM Live Session. Photo Courtesy: Khurram J. Khan.
Najanay kab se
Umeedain kuch baki hain
Mujhe phir bhi teri yaad
Kyoon aati hai
Najanay kab se
Duur jitna bhi tum mujh se
Paas tere mein
Ab to aadat si hai mujh ko aise jeenay mein
Zindagi se koi shikwa bhi nahi hai
Ab to zinda hoon mein is neelay aasman mein
Chahat aisi hai yeh teri
Barhti jaye
Aahat aisi hai yeh teri mujh ko sataye
Yaadein gehri hain itni dil doob jaye
Aur aankhon mein yeh gham nam ban jaye
Ab to aadat si hai mujh ko aise jeenay mein
Sabhi raatein hain
Sabhi baatein hain
Bhula do unhein
Mita do unhein
Mana bikhra hoon mein abhi
Mein ne khuwab piroye thay
Teri sanson mein ghum hoon abhi
Meri chahat adhoori hai
Mushkilain jab bhi aa jayein gi
Dard hadh se guzar jaye ga
Koi ghum na phir hoga mujhe
Gar khuwabon mein tum aao ge
Ab to aadat si hai mujh ko aisay jeenay mein